Wednesday, September 09, 2009

Counter-attack trial (hindi)

This work is not a critic on any piece of art. It is just a trial at counter-attack poetry.

The words in quote are from the famous poem "Koi deewana kehta hai"


“Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hain,

magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain,

Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain,

Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain”


Ki jahan mein nahi bas ek deewana,

Is dharti par har pal hai ek afsana,

Na koi paas hain mere, na koi dur nazrana,

Jo aankhon se chalkaya to toot baitha ye paimana.


“Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain,

kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain,

Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain,

Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain”


Mohobat ki kahaani mein to bas paani hi paani hain,

Har pal hai marta deewana, har pal hai jalta parwana.

Jahaan mein sab log kehte hai ki woh dekh rota hain,

Jiske liye socha tha hai woh moti, dekh kya chain se soti hain.


“Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage,

Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage”


Ab bol haal kya hai tera mere aage,

Rang mein bhang dekh mera tere aage.


“Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,

Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta,

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta”


Bahut gambhir ya ye kissa ye maan nahi sakta,

Ki tere liye agar yeh moti hai to jag saari ye jhoothi hai,

Ke mat baat chahat ko yun keh ke,

Agar tera ho nahi paaya to usko kyun tune tadpaya.


“Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,

Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,

Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama”


Zaamane bhar mein hungama hi hai hungama,

Ke koi khwaab dekhe toh bhi hai hungama,

Sabhi doob kar kehte the kissa mohobbat ka,

Ki kisse ki hakikat ne macha daala tha hungama.

4 Comments:

Blogger Seahawk said...

Cool .. good creative stuff.

10:50 PM  
Anonymous himanshu said...

acha hai .. par dard .. ko aur nahi samjhti duniya .. agar gaa ke naa sunaya jaaye

11:34 PM  
Blogger slooze said...

hmm..you should try original poetry...because every poem has its own meaning..anyways the attempt is awesome..you do make goo poetry!

6:06 PM  
Blogger Absolutely Lost said...

@SeaHawk
Tum Sudhar kaise gaya??

@Himanshu
Main gaane laga to duniya waale dauda dauda kar maarenge :P

@slooze
Thanks for your comment. You need to look at my other posts for the "original poetry" :)

9:09 PM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home